March 29, 2009

Finally, Hindi Kaavya in Hindi Cinema

Aarambh hai prachand, bole mastakon ke jhund
Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do,
Aan, baan, shaan ya ki jaan ka ho daan,
Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do...

Mann kare so praan de jo mann kare so praan le
Wahi to ek sarvashaktimaan hai.
Krishna ki pukaar hai, ye Bhagvat ka saar hai
Ki yuddh hi to veer ka pramaan hai.
Kauravon ki bheed ho ya paandavon ka need ho
Jo lad saka hai wo hi to mahaan hai.

Jeet ki hawas nahin kisi pe koi vash nahin,
Kya zindagi hai thokaron pe maar do,
Maut anth hai nahin to maut se bhi kyun daren,
Ye ja ke aasmaan mein dahaad do...

Ho dayaa ka bhaav ya ki shaurya ka chunaav
Ya ki haar ka wo ghaav tum ye soch lo,
Ya ki poore bhaal par jala rahe vijay ka
Laal laal ye gulaal tum ye soch lo,
Rang kesari ho ya mridang kesari ho
Ya ki kesari ho kaal tum ye soch lo.

Jis kavi ki kalpana mein zindagi ho prem geet,
Us kavi ko aaj tum nakaar do,
Bheegti nason mein aaj, phoolti ragon mein aaj,
Aag ki lapat ka tum baghaar do...

- written by Piyush Mishra

Salutations to you, Sir....



No comments:

Post a Comment