July 10, 2009

One of the Best Poems You'll Find on Celluloid


Chakravyuh mein ghusne se pehle,
Kaun tha main aur kaisa tha,
Ye mujhe yaad hi na rahega.

Chakravyuh mein ghusne ke baad,
Mere aur chakravyuh ke beech,
Sirf ek jaanleva nikat-ta thi,
Iska mujhe pata hi na chalega.

Chakravyuh se nikalne ke baad,
Main mukt ho jaoon bhale hi,
Phir bhi chakravyuh ki rachna mein
Farq hi na padega.

Marun ya maaroon,
Maara jaoon ya jaan se maar doon,
Iska faisla kabhi na ho paayega.

Soya hua aadmi jab neend se uthkar
Chalna shuru karta hai,
Tab sapnon ka sansar use
Dobara dikh hi na paayega.

Us roshni mein, jo nirnay ki roshni hai,
Sab kuchh samaan hoga kya?

Ek palde mein napunsakta,
Ek palde mein paurush,
Aur theek taraazu ke kaante par
Ardh satya.

by Dilip Chitre for the Govind Nihalani film 'Ardh Satya' (1983)

No comments:

Post a Comment